22
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀"ILM-E-GHAIB"🥀*
part 22
Aayat 20.
فاوحی الی عبدہ ما اوحی۔
Tarjuma: “Ab Wahi farmai apney bandey ko jo Wahi farmai..
”Parah 27, Surah 53, Aayat 10"
Majarij un Nabuwwah Jild 1 me hai:
Tarjuma: “Me’raj me RAB ne Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) par jo saarey Uloom aur Ma’arfat aur Basharatein aur Ishaarey aur Khabren aur Karamaten-o-Kamalaat Wahi farmaey woh is Ibhaam me daakhil hain,
aur sab ko shaamil hain, in ki ziyaadati aur Azmat ki wajah se hi in cheezon ko bator-e-Ibhaam zikar kiya , bayan na farmaya,
is me is taraf ishaarah hai k In Uloom-e-Gaibiyah ko siwaey Rab Ta’ala aur Mehboob (Aleh Salam) k koi nahin Ihaata kar sakta,
haan jis Qadar Huzoor ne bayan farma diya woh Maloom hai”
Refrence.
Madarij un Nabuwwah Farsi, Jild 1, Page no 170, Matboo’a Nooriyah Rizawiyah,
Publishing Bilal Ganj, Lahore..
Is Aayat aur Ibaarat se Maloom huwa k Me’raj me Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko woh uloom ata huwey jin ko na koi bayan kar sakta hai ,aur na kisi k khayal me aasaktey hain,
Maakaan-o-Maayakoon to sirf Bayaan karney k liye hai warna is se bhi kahin ziyaadah ki ata huwi.
In tamam Aayat se Saabit hai ki ALLAH taala ne Sarkar Sallallahualaihiwasallam k saath Digar Ambiya Alaihissalam ko bhe ilm-e-ghaib ataa kiya hai...
🔛Contineu"
*📝SUNNI HANFI ORGANIZATION*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment