MISKAAT BAAB MINAAKIB ALI radiALLAHu anho 36

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






*🥀"ILM-E-GHAIB"🥀*




part 36'




HADEES 14:

Mishkaat Baab Minaakib Ali (Razi ALLAH Anhu) me hai:
Tarjuma: "HUZOOR (sallallahualayhewasallam)
ne Khebar k din farmaya k Hum Kal yeh Jhanda us ko dengey jis k haath par ALLAH Khaibar Fatah Farma dega,
aur Woh ALLAH aur US k RASOOL se Muhabbat karta hai"

Refrence.
Mishkaa Ul Musaahib, Page no 563, Matboo'a Noor Muhammad Qutub Khaana, Karachi..

Sahi Bukhari, Kitaaab Ul Fazail Us Sahaba Baab Min Fazail Ali Bin Abi Taalib (Razi ALLAH Anhu, Jild 4, Page no 1872, Raqam Ul Hadees 2407, Al Hadees 3499, Matboo'a Dar Ibn-e-Kaseer, Beroot.

Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri me Likhte hain:
Tarjma: "HUZOOR (sallallahualayhewasallam)
ne Khaiber k din farmaya k Mai Ayse SHAKHS ko Jhanda doonga jo ALLAH AZZAWAJAL aur us k RASOOL (sallallahualayhewasallam)
ko Mehboob rakhta hai aur ALLAH aur Us k RASOOL (sallallahualayhewasallam)
use Dost Rakhte hain aur Woh Mehsoor Yahood K Qilay ko Fatah karega".

Refrence.
Tabqaat Ul Qubra Ibn-e-SAAD Gazwah-e-Khaibar, Jild 2, Page no 110, Matboo'a Dar us Saadir, Beroot.

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri Me Likhte hain:
Tarjuma:  "HUZOOR (sallallahualayhewasallam)
ne farmaya Mai Kal ayse Aadmi ko jhanda Ata karunga jo ALLAH aur is k RASOOL sallallahualayhewasallam,
se Muhabbat karta hai ALLAH TA'ALA is k Haath par Musalmaanon ko Fateh Naseeb farmaega wo Bhaagay ga nahin"

Refrence
Al Seerah Annabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam Zikar Ul Muyyassar, JILD 4, Page no 305, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

🔛Continue"

*📝SUNNI HANFI ORGANIZATION*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

उलेमा ए देओबन्द की वो गुस्ताखी थी जिसकी वजह से उनपर 33 उलेमा ए हरमैन ने कुफ्र का फतवा दिया

देवबन्दियों का तबरी2️⃣3️⃣

Kya Auliya ALLAH Gaib Jante Hai Aur Jo Dil Me Kya Wo Bhi Jante Hai*