SABSE BAD BAKHT INSAAN KAUN HAI 46
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 "ILM-E-GHAIB"🥀*
part 46'
HADEES 25:
SAB SE BAD BAKHT INSAAN KAUN HAI??:
Imaam-e-Kabeer Muhaddis Shaheer Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430 Hijri me is Riwaayat k Baad likhte hain: Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, kehte hain,
Mai aur Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Gazwah-e-Asheerah me hum Ruqaab the ek jagah hum ne parao kiya, wahaan hum ne chan'd choti se Khajooron ko dekha,
aur un k neechay maati ki dhool par hi sogae, humen NABI-e-kareem (sallallahualayhewasallam)
k siwa kisi ne bedaar na kiya, AAP tashreef lae, aur HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) k paaon ko Aahista Tatola aur Haalat yeh thi k hum Mitti se lat pat the,
AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya ALI utho kiya may tumhen batlaon nahin k sab se Bad Bakht kaun hai??
Ek to Qauom-e-Samoood ka woh Mard Ahmer jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki ontni k paaon Kaate the,
aur dosra woh jo tum par is jagah waar karega,
AAP ne apne Sar ki ek jaanib Ishaara kiya aur yeh tar hojae gi, AAP ne apni Daarhi mubarak pakar li.. (Yaani Sar se le kar Daarhi tak khon hi khoon hoga.
Refrence.
Dalael Un Nabuwwah Laabi Naeem Asfahaani Urdu, Page no 497, Matboo'a Ziya Ul Quran Publications Lahore)
Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri me bhi yahi Riwaayat karte hain:
Bahawaala: Fazael-e- Sahaba La Bin Hambal, Jild 1, Page no 566, Raqam Ul Hadees 953, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Wahid Hambali 643 me Riwaayat karte hain: Tarjuma: "to Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya k be'shak RASOOL ALLAH (sallallahualayhewasallam)
ne mujh se Uhad (Waada) farmaya k mai us waqt tak nahin maronga,
jab tak mai khaleefa na ban jaoun, phir meri Daarhi ko mere khoon se rang diya jae.
to Aap (Razi ALLAH Anhu) bhi Qatal huwe, aur Abu Al Fazaalah (Razi ALLAH Anhu) bhi Yauom-e-Safeen k roz Qatal huwe"
Refrence.
Al Ahaadees Ul Mukhtaar, Jild 2, Page no 326, Raqam Ul Hadees 702, Makah Mukarrama)
Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Habeeb Ul Maawardi 429 Hijri me Riwaayat karte hain:
Tarjuma: "May nahin Maroonga jab tak Meri Daarhi ko mere chehre k khoon se Rang na diya jae"
Refrence.
Aalaam Un Nabuwwah Al Baaab As Saani Asharfi, page no 79, Awwal Baab Us Shaer Feema Sama Min Mojizaat, Akhbaar Ul Ahad, Page no 157, Matboo'a Daar Ul Kitaab, Beroot)
Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH ALEH) Lihkte hain: Tarjuma: "Hazrat UbaidULLAH se Marwih hai k NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ne HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya Aye ALI (RAZI ALLAH ANHU) Aglon aur Pichlon me Bad Bakht tareen kaun hai??
Unhon ne kaha ALLAH aur us ka RASOOL (SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ziyaadah jaante hain,
unhone farmaya, Aglon ka sabse ziyadah Bad Bakht Saleh (ALEH SALAAM) ki Ontni k haath paaon kaatne waala tha, aur Pichlon ka bad bakht tareen woh hoga, jo tumhen Neza maarega,
aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne is Muqaam par ishaara kiya, jahaan woh neza marega"
Imaam Jafar Suraiya Ali (Razi ALLAH Anhu) se marwih hai k mai Hazrat ALI (Razi ALLAH Anhu) k haathon par paani daal rahi thi, Yaka yak Unhone apna sar Uthaya, phir apni Daaarhi Pakar kar use naak tak buland kiya k tere liye Khushi hai k tu Zarur Zarur Khoon men rangi jaegi, phir Jummay k Din un par Hamla kiya gaya"
Refrence
Tabkat E Ibn-E-Saad, Jild 3, Page no 35, Matboo'a Dar Us Saadir, Beroot)
Imaam Jalal Ud Deen 911 Hijri me likhte hain: Tarjuma: "Hakim (REMATULLAH) ne sahi bata kar HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Aap ne kaha mujh se RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya,tumhen is jagah aur is jagah Zarb lagai jaegi, aur HUZOOR (sallallahualayhewasallam)
ne donon Kanpatiyon ki taraf ishaarah kiya, aur in donon se khoon Beh kar tumhari Daarhi ko Rangeen kar dega"
Refrence
Khasais Ul Kubra, Jild 2, Page no 210, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)
Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Suleman Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri me Riwaayat karte hain:
Tarjuma: "Hazrat Usman Bin Suhaib apne Baap suhaib (Razi ALLAH Anhu) se Naqal farmate hain, k ek din HUZOOR (sallallahualayhewasallam)
ne Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ko farmaya yeh batlao, pehle logon me se Bad Bakht kaun tha?
Aap ne Arz kiya jisne Saleh (Aleh Salaam) ki Ooontni ko Qatal kiya, aur Paaon kaatey,
AAP ne farmaya tum ne theek jawaab diya.
Phir pucha acha yeh batlao Pichlay logon aur aane waalay logon me se Bad Bakht kaun hai??
Unhon ne Arz kiya maalom nahin,
AAP ne farmaya, Jo Shakhs Aap ko Kanpati par waar kar k shaheed karega.
Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ahl-E-Iraq ko farmatey the, Ba Khuda mai chahta hoon aur pasand karta hoon koi bad bakht uthey aur is jagah (yaani Daarhi Mubarak aur Sar-e-Aqdas ki isi jaanib) ko khoon Aalood karta aur me Darjah-e- Shahaaadat ko paa leta"
Refrence.
Al Mu'ajjim Ul Kabeer Ul Tibraani, Jild 8, Page no 38, Raqam Ul Hadees 37311, Jild 2, Page 247, Raqam Ul Hadees 2037 to 2038, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al Hakam O Al Mosal)
🔛Continue"
*📝SUNNI HANFI ORGANIZATION*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment