ILM E GHAIB KA SABOOT QURAAN KI ROSHNI ME 07

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






*🥀"ILM-E-GHAIB🥀*




part 7'




ILM-E-GHAIB k Saboot QURA'AN ki roshni me..

Aayat 1:
Tarjuma.
"Aur Aye MEHBOOB tum ko in sab par Nigehbaan bana kar hum la deyngey ".PARAH 5,Surah 4...

Sureh Nisaa Aayat 41..

Tafseer Nesha Poori me isi Aayat k Ma Tehet hai
"Is liye Huzoor
(Aleh Salaam) ki Rooh Mubarak tamaam Roohon aur Dilon aur Nafson ko dekhne waali hai,
Kyon k HUZOOR
(ALEH SALAAM) ne farmaya k ALLAH ne jo pehle paida farmaya woh mera NOOR hai"

Tafseer ROOH UL BAYAAN me Isi Aayat k Ma Tehet hai.
"HUZOOR
(ALEH SALAAM) par Aap ki ummat k Aamaal Subah-o-Shaam pesh kiye jaate hain, Lihaaza Aap UMMAT ko Un ki Alaamaat se Jaantey hain, aur In k Aaamaal ko Bhi, Is liye Aap in par GAWAHI dengey".   

Tafseer Madarak me Isi Aayat K Ma Tehet hai. "HUZOOR
(ALEH SALAAM) Gawah hain, Mominon par Un k imaan k Kaafiron par un k Kufar Aur Munaafiqon par un k Naffaaq k".   

Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k HUZOOR
(ALEH SALAAM) Az Awwal ta Qayaamat tum logon k Kufr-o-imaan-o-Naffaaq-o-Aamaal waghera sab ko Jaante hain, is liye Aap sab ki Gawahi dengey,

Yehi to ILM-E-GHAIB hai.

🔛Contineu"

*✍ SUNNI HANFI ORGANIZATION*





👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

उलेमा ए देओबन्द की वो गुस्ताखी थी जिसकी वजह से उनपर 33 उलेमा ए हरमैन ने कुफ्र का फतवा दिया

देवबन्दियों का तबरी2️⃣3️⃣

Kya Auliya ALLAH Gaib Jante Hai Aur Jo Dil Me Kya Wo Bhi Jante Hai*