TAFSEER E KHAAZAN ME 40

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






 *🥀"ILM-E-GHAIB"🥀*




Part 40'




HADEES18:

Tafseer-E-Khaazan me Parah 4, Surah 3, Aayat 179) k Tahet hai:   Tarjuma: "HUZOOR (sallallahualayhewasallam.
ne farmaya k Hum Par Hamari Ummat Pesh farmai gai,
apni apni Sooraton me, Matti me jis tarah k HAZRAT ADAM (ALEH SALAAM) par pesh huwin thin,
HUM ko bata diya gaya, k kaun HUM par imaan Laayega,
aur Kaun Kufar karega,yeh Khabar Munaafiqeen tak Puhnchi to woh Hans kar kehne lagey,
k HUZOOR (sallallahualayhewasallam.
farmate hain k un ko logon ki Paidaish se Pehle hi Kaafir-o-Momineen ki khabar hogai,
hum to un k saath hain, aur hum ko nahin Pehchaante,
yeh khabar HUZOOR (sallallahualayhewasallam.
tak Puhnchi to Mimbar par khare huwey,
aur KHUDA ki Hamd-o-Sana ki Phir farmaya k Qomoun k kiya haal hai k Hamare ILM me Taana karte hain,
Ab se Qayaamat tak ki kisi Cheez k Baare me jo bhi tum hum se Pucho gey,
hum tum ko Khabar Denge"

Is Hadees se 2 Baaten Maaloom Huwin.

1) Ek yeh k HUZOOR (sallallallahualaywasallam..
k ILM me Taana karna, Munaafiqon ka Tareeqah hai...

2) Dosrey yeh k Qayaamat tak k Waaqiyaat saarey HUZOOR (sallallahualayhewasallam.
k ILM me hain.

Refrence.
Al Baab Ul Taaweel Fi Ma'ani Ut Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer Khaazan, JILD 1, Page 324, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot..

🔛Continue"

*📝SUNNI HANFI ORGANIZATION*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

उलेमा ए देओबन्द की वो गुस्ताखी थी जिसकी वजह से उनपर 33 उलेमा ए हरमैन ने कुफ्र का फतवा दिया

देवबन्दियों का तबरी2️⃣3️⃣

Kya Auliya ALLAH Gaib Jante Hai Aur Jo Dil Me Kya Wo Bhi Jante Hai*