ALLAH ‎ﷻ ‏se aur Uss ke RASOOL ‎ﷺ ‏se MOHABBAT ‎

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






*🥀 ALLAH ﷻ se aur Uss ke RASOOL ﷺ se MOHABBAT 🥀*





🌹HADRAT ANAS رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه farmate hain ki,

*kisi aadmi ne NABI E KAREEM ﷺ se sawal kiya, "Qayamat kab aayegi?*
*"AAP ﷺ ne farmaya,*
*"Tum ne us ke liye kya tayyaar kar rakha hai ?*
*"Arz Guzar huwa,*
*"Mere pass koi Amal nahi siwaye uske ki, ALLAH ﷻ se aur Uss ke RASOOL ﷺ se MOHABBAT rakhta hun.*
*"AAP ﷺ ne farmaya,*

*"Tum unke saath ho jin se MOHABBAT rakhte ho."*

HAZRAT ANAS رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه farmate hain ki, 

*mujhe itna khush kisi cheez ne nahi kiya jitna NABI E KAREEM ﷺ ke is farmaan ne kiya ki, "Tum us ke sath hoge jis se Mohabbat karte ho."*

HADRAT ANAS رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه farmate hain,

*"Main NABI E AKRAM ﷺ se MOHABBAT karta hun aur ABU BAQR WA UMAR (رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم) se lihaaza umeedwaar hun ki, in ki Mohabbat ke baa's in HAZRAT ke saath rahunga AGARCHE MERE AMAL UN JAISE NAHI.*

📒[BUKHARI SHARIF, JILD 2, KITAB UL AMBIYA, HADEES NO 885, PAGE NO.390]





👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

उलेमा ए देओबन्द की वो गुस्ताखी थी जिसकी वजह से उनपर 33 उलेमा ए हरमैन ने कुफ्र का फतवा दिया

देवबन्दियों का तबरी2️⃣3️⃣

Kya Auliya ALLAH Gaib Jante Hai Aur Jo Dil Me Kya Wo Bhi Jante Hai*