Kharjiyo ki nishani

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Najdiyo ki pahchan 🥀*



*🕹️ 16*

*✏️Kharjiyo ki nishani 3-*

الَّذِينَ يَلْمِزُونَ الْمُطَّوِّعِينَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ فِي الصَّدَقَاتِ وَالَّذِينَ لَا يَجِدُونَ إِلَّا جُهْدَهُمْ فَيَسْخَرُونَ مِنْهُمْ سَخِرَ اللَّهُ مِنْهُمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ. *(سورة التوبة ٧٩)*

*Tarjuma:* Aur jo aib lagate hai, musalmano ko jo ke *dil se* khairat karte hai, aur unko jo nahi pate magar apni mahnat se; to unse hanste hai, Allah unke hansi ki saza dega, aur unke liye dardnak azab hoga.

Kya Sunni meelad nahi karta? Kya Sunni 11vi nahi karta? Kya Sunni apni taraf se koi aisa kaam nahi karta jo apne Rab ko aur Mustafa Karim ﷺ ko raazi karne ke liye hota hai? *Bilkul karta hai.*

Isi ka zikr Quraan ne is tarah farmaya ke musalman ke bhale kaam ko bura samajhna aur unki hansi banana ye munafiqeen ka kaam hai.

Is aayat ka shane nuzool munafiqin ka istehza karna hi hai musalmano par. Hukm mutlaq hai, Kisi bhi nek kaam ke bare me kaha ja sakta hai.

Sunniyo ka meelad manana, nazr o niyaz karna ye sab nek aur accha kaam hai, iski hansi kon banata hai?

*Sabit hua, Quraan paak ne is ayat e kareema ke zariye aaj ke najdiyo ko nishana tana hai.*

Allah hame najdiyo ke fareb se bachaye.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

उलेमा ए देओबन्द की वो गुस्ताखी थी जिसकी वजह से उनपर 33 उलेमा ए हरमैन ने कुफ्र का फतवा दिया

देवबन्दियों का तबरी2️⃣3️⃣

Kya Auliya ALLAH Gaib Jante Hai Aur Jo Dil Me Kya Wo Bhi Jante Hai*