Najdiyo ki khayanat 2

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




*🥀 Najdiyo ki pahchan 🥀*



*🕹️ 36*

*✏️Najdiyo ki khayanat 6-*

الْمُنَافِقُونَ وَالْمُنَافِقَاتُ بَعْضُهُمْ مِنْ بَعْضٍ يَأْمُرُونَ بِالْمُنْكَرِ وَيَنْهَوْنَ عَنِ الْمَعْرُوفِ وَيَقْبِضُونَ أَيْدِيَهُمْ نَسُوا اللَّهَ فَنَسِيَهُمْ إِنَّ الْمُنَافِقِينَ هُمُ الْفَاسِقُونَ. (سورة التوبة ٦٧)

*Tarjuma:* Munafiq mard aur munafiq aurte ek thaili ke chatte batte hain, buraai ka hukm de aur mana kare, aur apni mutthi band rakhe, *vo Allah ko chorh baithe, aur Allah ne unko chorh diya,* beshak munafiq vahi pakke be hukm hai. *(Kanz ul Iman- Imam Ahmad Raza)*

Ayat e kareema me lafz فَنَسِيَهُمْ ka use hua hai, jis ka matlab hai, zahen se nikal jana, pata chala ye khasiyat bashar ki hai, ke vo bhool jata hai, ye lafz ki maani bhool jana jab ke Allah ﷻ ki shaan ke khilaf hai. Magar chnki Ayat e kareema me is ka use hua hai, bus mere Imam ne uska matlab as it is na lete hue, aisa lafz chuna jis se matlab bhi zahir hua aur shaan e Ilahi me gustakhi bhi na hui. Magar Najdiyo ne apni kam zarf aql se apni man maani ki, aur shaan e Ilahi me gustakhi kar di. Dekho tarjume.

1) _Ye Allah ko bhool gaye to Allah ne bhi inhe bhula diya._ *(Maududi)*

2) _Unhone khuda ko bhula diya to khuda ne unko bhula diya._ *(Jalundhari)*

3) _Ye Allah ko bhool gaye Allah ne inhe bhula diya._ *(Junagarhi)*

Dekho, kis tarah Najdiyo ne Allah ﷻ ke liye lafz *bhoolna* ka istemal kiya. Bhoolna ek aib hai, aur Allah ﷻ har aib se paak hai.

Kya pata chala? Ye Najdi niraa khayanat-daar hai, jis ne Qur'an tak ko bhi nahi chorha. 

Kya ab bhi ham ise apna bhai, aur Iman wala kahe. *Hargiz Nahi.* 

Allah ﷻ hame, Najdiyo ki khayanat, makr o fareb se bachaye.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

उलेमा ए देओबन्द की वो गुस्ताखी थी जिसकी वजह से उनपर 33 उलेमा ए हरमैन ने कुफ्र का फतवा दिया

देवबन्दियों का तबरी2️⃣3️⃣

Kya Auliya ALLAH Gaib Jante Hai Aur Jo Dil Me Kya Wo Bhi Jante Hai*